Uncategorized

Mullaani Hogai Hai

Jab koi aadmi Allah Taala ko uski poori azmat ke saath paa leta hai, to uske andar ek roohani hulchul paida ho jaati hai, us hulchul se kya hota hai har waqt use Allah Taala ki yaad aati hai. Aisa kyon? Beikhtiyaar kyon ho jaata hai?

Ab sote hue uth rahe hain “Allah”,

Ab sone ja rahe hain “Allah”,

Ab kuch dekhte hain fauran “Allah”,

Ye kaise hota hai, kyon ke Allah ko shaoor ke saath paaya hai na to dil mein ek iztiraab (restlessness) hai, uski yaad hai jo zubaan pe beikhtiyaar aa jaata hai,

kabhi zabaan se shukar ke kalimaat nikalte hain “Alhamdulillah”,

Kabhi dar lagta hai to kehte hain “Astaghfirullah”,

Kabhi koi achi cheez dekhte hain “Masha Allah”,

Hairat hoti hai to “Subhan Allah”,

Humaari to lughat (language) se ye baaten nikal gaeen aur humko ye lafz bolne mein bhi sharm aati hai ab, log kya kahenge “Mullani hogai hai”.

Ye mullani ke alfaz nahin hain, ye Allah ki mohobbat karne waalon ke besaakhta (involuntary) jumle (sentences) hain.

Lekin aap dekhen ke aaj ke log badi badi gaadiyon mein baith kar, bade bade gharon mein reh kar, bade bade ohdon(positions) aur jobs pe itminaan (peace) se mehroom hain, ajeeb pareshani ka shikaar hain, jitni maadi(material) taraqqi badhi utni besukooni badhi, har taraf comfort dene waale saaman maujood hain, thick carpets, bhaari parde, bhaari furniture, behtareen khaane, umda(excellent) libaas lekin sukoon naam ki cheez nahin hai, sab cheezen ajnabi aur moo chidaati hui nazar aati hain, haqeeqi khushi nahi logon ke chehron par, masnooi(artificial) muskurahat ke peeche ek fikar ki lehar saaf dekhi ja sakti hai. Kyon? Iski wajah kya hai? Iski wajah ye hai ke khushi to rooh ko hoti hai na, aur rooh ka saaman Quran hai jo Rooh-ul-Ameen le kar aae.

Aur hum usko khush karna chaahte hain maadi (material) cheezon se maslan bacha khilauna maang raha hai aur hum usko khaana khilaane lag jaaen. To wo khush ho Jaaega? Wo kahega mujhe khilauna chaahiye aur aap kahen aao khaana khaao. Wo aur cheekhega main khaana maang raha hoon aap mujhe khaana khilaate hain, kyon ke wo to aam taur par(normally) bhi use khaana nahin acha lagta.

Humaara haal yehi hai, jis cheez ki khushi jis cheez mein hai wohi milegi to rooh khush hogi. Ab aap dekhen ke ek Insaan se mil ke aapko khushi hoti hai, wo na mile saikadon(thousands) log milen. Dil ka Kya haal hota hai? Khush hote hain aap? Nahin! Aur wo ek mil jaae to sab kuch mil jaata hai. Kyon ke rooh ki khushi is mein hai, us se zyaada khoobsoorat aur maaldar logon mein nahin hai, us ek mein hai.

Insaan ashraful makhlooqaat (most evoked) hai uski rooh ki khushi us se kamtar (lesser) cheezon mein nahin hai, ye baaqi saari cheezen hum se kamtar hain na, hum in se bartar (higher) hain, ye saari cheezen humaare liye zaroorat ke liye paida ki gaeen, hum ne inhen poojna shuru kar diya, hum ne in mein khushi talash karni shuru kar di, Humen apne se badi cheez mein sukoon mil sakta hai jo haqeeqi maanon mein hum se badi hai, aur wo ek hi cheez hai ALLAH. Aur jab tak use bhoole rahenge, usko faramosh kare rahenge, us ko chodenge, haqeeqi khushi nahi mil sakti. Apne se kamtar mein sukoon nahi mil sakta apne se bartar mein sukoon milega”.

Note:

The above article is a part of a lecture of Dr. Farhat Hashmi that I heard long ago and I noted it down and today I thought of sharing it with you all. Dr. Farhat Hashmi kisi taaruf ki mohtaaj nahin hain, she’s one of the most famous women scholars of Islam in Pakistan.

Humari to deen mein maloomaat bohot thodi hai is liye socha ke nothing better than precious words of Islamic scholars that I have come across. Blog banaane ka to iraada nahin tha kabhi, lekin hamesha kuch qeemti moti chun chun kar apni kitaabon mein rakhte rahe jis mein se kuch qeemti baaten aaj aap sab se share kari hain. Bus humne jo kuch suna jo kuch padha Allah hum sab ko us par amal ki taufeeq de.

Allah Ta’ala humen taufeeq de ki hum Uska zikr karen, shukr ada karen aur behtareen ibaadat karen.

15 thoughts on “Mullaani Hogai Hai”

  1. Ameen!
    bahut achha laga hamein ye parh ke. Bahut hi khoobsurat andaz mein likha hai aap ne, Subhanallah!
    Shukr Alhamdulillah, reading this also refreshed my memory about certain beautiful terms and phrases like ROOH-UL-AMEEN, ASHRAFUL MAKHLOOQAAT, IZTIRAB, MASNUI, etc
    May Allah reward you immensely for your good works. Ameen
    Dr. Farhat Hashmi is indeed a great inspiration for contemporary women, Mashallah. May Allah azz was jall bless her. Ameen
    I remember that years ago, I had watched a youtube video of her on Surah-al-Fatiha recitation with Tazweed and I liked it so much that I learned to recite it a similar manner and it gave me so much peace and sukoon, SubhanAllah.
    Posts like this make WordPress look beautiful. Allah ta’ala has blessed you with such a pleasing knowledge, keep sharing it with others like this.
    Jazakallahu Khayran!

    Liked by 1 person

  2. ہم ایک عجب ڈھنگ سے آگے بڑھ رہے ہیں۔ جہاں چلنے کی ضرورت ہے وہاں بھاگنا شروع کر دیتے ہیں اور جہاں سے بھاگنا ہے و ہاں ٹھہر جاتے ہیں۔
    اللہ تعالی ہماری آنکھیں حقیقت کی جانب کھولے اور ہمیں راہِ راست پر چلنے کی توفیق عطا فرمائے،آمین 💕

    Liked by 2 people

Leave a reply to Haroon Mirza Cancel reply