Motivational

Main Bohot Pareshaan Hoon

Assalamualaikum Wa Rahmatullahi Wa Baraktuhu (May the peace mercy and blessings of Allah be with you). I’m back today with another post with a dose full of positivity by Salman Imdad. Kuch din pehle jinki ek nazm ‘Mayoos Na Ho Salman’ humne aap sab se share ki thi. Aaj ki post ka unwaan hai Me Boht Pareshan Hun!.

Salman Imdad
Image credit: YouTube

“Bohot saare logon se hum zindagi mein salaam ke baad unka haal poochte hain to wo kehte hain ke “Yaaaar bus haalat kharaab hai, yaar ye ho raha hai, bus job chootne waali hai, Yaaar bus tabiyat kharaab hai, yaar mere to haalaat kharaab hain, mere paas paise nahin hain”.

Itniii pareshaaniyaan aapko ginwaate hain aap bolte hain “kya iski zindagi jahannam bani hui hai iski to”. Kya aapne kabhi khud kisi ko (chod do doosron ko) bola hai ke “main bohot khush hoon”? Kabhi bhi… Ikka dukka koi log honge. Lekin kya aapne kisi ko bolte hue suna hai “Main bohot khush hoon”. Kabhi bol ke try kiya hai ke “Main bohot khush hoon”. Ek dafa try to karo. Bolo “Allah ka shukar hai Alhamdulillah main bohot khush hoon”.

Sab bolte hain “Alhamdulillah Lekin Yaaar” wo jo Lekin yaar ke baad gandi si shakal banti hai na 😞☹️😖, mat banaao, chodo rehne do. Jab koi pooche na ke “Kaise ho” bolo “Main bohot khush hoon”. Try kar ke dekh lo bhale khush na ho, try kar ke dekho teen, chaar, paanch din. Sirf teen, chaar, paanch din ye bol ke dekho. Yaqeen maano, qasam se zindagi aapki khush hone lag jaaegi.

Apni har cheez ka shukar karo, Aapka apna zinda hone ka shukar karo aur Allah Ta’ala se ye cheez maango ke hum khush rahen. Bajaae iske ke Bohot saaare log maine dekhe hain jo khush hote hain lekin phir bhi bol rahe hote hain “Yaar main khush nahin hoon”. Pata nahin kyon???

Main to kehta hoon khush nahin bhi ho na tab bhi kaho “Main khush hoon” to aisa time aaega ke aap khush hoge, Jin cheezon mein khushi nahin hai un cheezon mein bhi aapko khushi milegi. Aise kar ke muskuraao aur is video ko share karo aur aise logon ko tag karo jo har waqt 🤦‍♀️🤦‍♂️rote rehte hain”. – Salman Imdad

The above words are a part of Salman Imdad’s video Me Boht Pareshan Hun!.

Video dekha aur laga Share zaroor karna chaahiye kyon ke ye hum sab ka maamool ho chuka hai ke sab ko sirf apni pareshaniyaan bataaen. Muskuraakar Allah ka shukr karna to hum bhool hi gae.

A reminder to myself first and for all of us :

Muskuraane ko ek aadat banaane ki koshish karen aur Allah ke waaste kabhi to muskuraakar apna haal ehwaal bataaen Aur Allah ki raza mein raazi hokar rehna seekhen. Zindagi pur-sukoon aur pur-aman banjaaegi.

Image credit: Facebook

Muskuraahat hai husn ka zewar,

Muskuraana na bhool jaaya karo”. – Abdul Hamid Adam

Let’s spread positivity around and not nag about the little or the not so little things in our life and count our blessings instead.

Keep Smiling and Have a happy day🌸😊😀

Ghar Rahen, Mehfooz Rahen.

46 thoughts on “Main Bohot Pareshaan Hoon”

    1. Alhamdulillah. 😊.
      Allah hamesha khush rakhe aur nek dili tamannaen puri kare.

      Nek dili tamannaon ki baat aai to hansi aati thi jab Ammi ye dua deti theen. Aksar yunhin keh diya jaata hai dili tamannaen lekin Ammi ‘Nek’ to zaroor add karti theen.
      To aapke liye bhi Ammi ki yehi dua hai.

      Liked by 1 person

      1. JazakAllah ❤ 🤗 ❤
        Ye bari blessing hai Nek wishes puri hojayen Allah hum sub ki Nek wishes puri Karen Ameen Sum’Ameen 🤗
        Maa ki dua to zaroor sunta hai Allah Paak
        💕❤️💕

        Liked by 3 people

  1. کیا بات ہے جی ۔۔۔ آج تو شکران کے گیت گائے جا رہے ہیں سارے ۔۔ہر سمت مثبت اور امید کی چادر بکھری ہوئی ہے ۔۔۔ لوگ اللہ کی نعمتوں کا مشکور ہے ۔۔ اور دعاؤں کی بوچھاڑ کر رہے ہیں۔۔۔ ماشاء اللہ ۔۔ بہت خوب 🌹

    Liked by 2 people

    1. Badi museebat se mili ye comment. I wonder why WordPress keeps on spamming my urdu comments.

      Bus Allah ka ehsaan hai hum sab par. Daddy ka sunnaya hua ye sher kaafi arse se likha rakha tha humne jo kal aap sab se share kiya.
      Aur bhi kai maze maze ki baaten aur qisse hain daddy ke zaroor share karenge kisi post mein. In Sha Allah

      Liked by 2 people

Leave a comment