Blogging

Paani To Ghode Hi Ko Peena Hai.

Wo kehte hain na ke Ghode ko paani dikhaa sakte hain ya ghode ko paane ke paas le ja sakte hain paani to ghode hi ki peena hai. To wohi ghode ka sa haal maujooda situation mein humaara bhi hai ke koi sirf keh hi sakta hai, raasta bataa sakta hai jo kuch karna hai wo khud humen hi karna hai. Aise hi baithe baithaae kuch nahin hota.

Ek zamaana hua kuch post nahin kiya bus sochte reh gae, kaafi posts likhe magar drafts hi ban ke reh gae.

In dinon bachon ke exams ka daur chal raha tha January mein (infact ab to phir final exams bus anqareb hain) aur phir kuch na kuch zehn mein chal raha tha is liye post nahin kar paae kuch bhi.

Baaharhaal itne lambe arse se blog nahin kiya aur ab karne chale hain to ye khayaal aa raha hai ke zindagi mein insaan kisi bhi maqsad mein kaamyaab hona chaahe to ye nahin kar sakta ke jab dil chaaha tab kar liya aur na dil chaaha to chod diya, yun chod pakad kar ke kuch haasil nahin kar sakta, is ke liye hausla aur mustaqil-mizaaji bohot zaroori hai.

Lekin is dauraan WP friends ne bohot saath diya.

My fellow blogger friends have been checking on me all this while and have always been really caring, motivating and constantly supportive.

It’s been so kind of you and it really means so much.

Aur yahan phir wohi baat aa gai ke paani to aakhirkaar ghode ko khud hi peena hai to Laakh aapke dost ehbaab hon, laakh log hon aapko sahi raasta bataane waale aur hausla-afzaai karne waale hon lekin is manzil tak pohonchne ki mehnat aur taiyyari to humen khud hi karni hai.

Ultimately sab hamaari apni koshish aur lagan par depend karta hai. Humaare badle ki mehnat koi aur nahin kar sakta.

Is waqt kuch likh paana bohot mushkil hai. This is one of those useless posts jahan bus kuch likhne ke naam pe likh diya hai bus.

To Aaj ke is post mein kuch khaas nahin bus itna hi ke humen koshish jaari rakhni hai aage Allah Maalik hai.

Do your best and leave the rest to God

Chalte chalte ek do behtareen sher aap sab ke liye…

🌸Bhanwar se laDo tund lehron se uljho ,

Kahan tak chaloge kinare kinare ~ RAZA HAMDANI

Aur aakhir mein Altaf Husain Hali ka ye sher

Sada ek hi ruḳh nahin naav chalti

Chalo tum udhar ko hava ho jidhar ki.

In Sha Allah jald hi agli post mein phir mulaaqaat hogi aap sab se

14 thoughts on “Paani To Ghode Hi Ko Peena Hai.”

  1. Assalamu alaykummm warehmatullahi wabarakatuhu!!!!!
    Yaayyy you finally postedd!!!! Best of luck for exams ahead!!! I know moms are very worried when their kids have exams coming up. Esa lagta hai maoun ka bhi exam chal rha hota hai bachon ke exams ke sath!!🥺💖💖💖💖 Allah tala hamary walidain ko hamary saron par salamat rkhein!!!
    How are you binte bashir?? And how’s everyone at your end? I posted a comment on your previous post, Idk if there was some glitch….

    Liked by 2 people

    1. Waalaikumussalam wa Rahmatullahi wa barakatuhu. Aameen.
      So exams unke hain aur pareshan hum Maa baap hote hain. Especially is mobile aur computer ke daur ki padhaai, jahan ek taraf padhaai aasaan hogai hai wahan itne distractions ke saath padhna utna hi mushkil hogaya hai.

      Alhamdulillah I am perfectly fine and so is everyone. I shall check. It’s not a glitch, actually is dauraan WP se ghaayab the hum. Kisi ka jawab se diya kisi ka bhool gae. Really sorry about that🌸💐

      Liked by 1 person

  2. So good to read your post Bushra, was little busy so couldn’t catch up earlier😊 May your children do their best in their exams and may you keep writing and sharing with us your thoughts. Take care dear, Allah hafiz 🥰❤️

    Liked by 1 person

Leave a comment