Motivational

Tu Kyon Maayoos Hota Hai

Kuch din pehle humne kisi se kaha tha ke ab to khidki ke baahar dekhna bhi kuch acha nahin lagta wohi dhuaan, dhool mitti aur smog hawa mein nazar aata hai.

Ek aad din baad hi subah subah Allah Ta’ala ne dil mein khayal daala ke zara dekh to sahi khidki ke baahar aur dekhne ki der thi ke har jagah Allah Ta’la ki jalwagari nazar aa rahi thi. Khidki khol kar aasmaan ki taraf dekha to is nazaare se jaise dil raushan hogaya, ek sukoon aur khushi ki kaifiyat dil pe taari hogai aur ek pal mein bhool gae wo maayoosi waala ehsaas. Photo to share kar rahe hain magar tasveer mein nahin samaa sakti uski khoobsurati, kam az kam humaare is saada se phone mein to na aa saki.

Bazaahir to lag raha hai bus kisi pahaad ke paas sooraj hai lekin ise khud dekh kar aur mehsoos kar ke hi samajha sakta hai.

Subah ka nazaara kis qadar purnoor hota hai, wo manzar jab suraj nikalta hai beinteha khoobsurat hota hai. Aasmaan ka rang dil lubhaane waala aur us par chidiyon ka chehchahaana aur Allah Ta’ala ki tasbeeh karna. Kabhi dil ke kaanon se sunen chidyon ki us aawaz ko jo subah savere aati hai to bande ko sharm aa jae, ke kis qadar khoobsurati se aur mustaqil wo Allah Ta’ala ki hamd o sana bayaan karti hain jo insaan kabhi na kar paaega.

Hum insaan aise hain ke do chaar din koi kaam karte hain to samjhte hain ke bohot bada kaam kiya. Koi amal humaara mustaqil aur bilanaagha (always) nahin hota lekin Suraj ek din bhi nikalna nahin bhoolta, na kabhi apni marzi se apni jagah se bejagah hota hai, aur ye chidiyen ek roz bhi Allah Ta’ala ki hamd bayaan karna nahin bhoolteen.

Banda kis qadar nashukra hai ke ek cheez uski marzi ke khilaaf hui nahin ke, saare inaamaat bhool jaata hai aur ye baat Allah Taala napasand karta hai. Wo kehta hai ke Ae Mere Bande tu kyon maayoos hota hai, kya Maine tujhe tarah tarah ki nematon se nahin nawaaza, kya kuch nahin banaaya Maine is duniya mein ek tera dil behlaane ki khaatir. Ye kaaenaat ka saara nizaam Teri ki khaatir to chalaaya taake Tu us se lutfandoz ho, faaeda utha sake, aur Mujhe yaad rakhe.

Wo har pal ye ehsaas dilaata hai ke Maayoos na ho Mere bande bus dil ki aankhon se dekh, Tu dang reh jaaega, aql kaam na karegi aur gin na sakega Mere inaamat tujh par.

Beshak Tere nawaazne mein koi kami nahin hum hi khataawaar hain, qusoorwaar hain.

Thanks for reading the post.

Have a great day!

28 thoughts on “Tu Kyon Maayoos Hota Hai”

    1. Sorry for the late reply Saba. Somehow I just forgot to reply.

      “Colours of hope rising from the east” makes a perfect title for this post. In Sha Allah zaroor kisi sunrise ki post ko ye title denge.

      Thank you for always reading my posts it really means so much 😊

      Liked by 1 person

      1. As I got stuck today with this issue it reminded me of the I was unable to see your comment and it was you helped out when I knew nothing about all that. Infact time and again I recall that friendly gesture of yours. Thanks a million 🤗😊😊💕.

        Like

  1. SubhanAllah !! Indeed, mornings are beautiful with those birds, the sky, the breeze all singing the “song of life, what it is to be alive ”
    And we get up with all those troubles in our minds that we even forget to sing that song of life. At least we get to wake up alive.
    You write so well Bushra, MashaAllah 😊Such peace and warmth in your words always.

    Liked by 2 people

Leave a comment