Urdu Poetry

Apni Marzi

Binte Bashir via Canva

“Apni marzi se kahan apne safar ke hum hain

Rukh hawaaon ka jidhar ka hai udhar ke hum hain

Pehle har cheez thi apni magar ab lagta hai

Apne hi ghar mein kisi doosre ghar ke hum hain

Waqt ke saath hai mitti ka safar sadiyon se

Kisko maaloom kahan ke hain kidhar ke hum hain

Chalte rehte hain ke chalnaa hai musaafir ka naseeb

Sochte rehte hain kis raahguzar ke hum hain

Hum wahan hain jahan kuch bhi nahin rasta na dayar

Apne hi khoe hue shaam-o-sahar ke hum hain

Gintiyon mein hi gine jaate hain har daur mein hum

Har qalamkaar ki benaam khabar ke hum hain – Nida Fazli

Kai baar zindagi mein hum bohot kuch sochte hain bohot kuch chaahte hain magar ya haalaat mukhaalif hote hain ya sab kuch soch se bilkul ulat hota hai. Apni zindagi bhi ek badbani kashti ki tarah hai jo haalat ki ravish par aage badhti hai. Kab zindagi mein wo hota hai jo insaan chaahta hai. Hum itni lambi lambi taweelen karte hain, plans banaate hain ke ye karna hai wo karna hai, ye chaahiye aur ye nahin lekin aane waala lamha hi tae karta hai ke hona kya hai.

Itne saare aur itne confusing khayalaat zehen mein aa rahe the bohot kuch likha aur mitaaya, phir likha aur phir mitaaya ye soch kar ke padhne wala pareshaan na ho jaaen.

Khair, Nida Fazli ki ye dil ko choo jaane waali ghazal har us lamhe ke naam jab hum sochte kuch hain aur hota kuch hai, chaahte kuch hain aur milta kuch hai aur jab mil bhi jaae to aage wo hota nahin jo humne socha hota hai. Baharhaal apni marzi to hoti hi nahin.

39 thoughts on “Apni Marzi”

  1. Bahut khoob Binte Bashir 💕
    Nida Fazli’s words resonate so well with my thought process.
    I often say: Ashok proposes and God disposes. Following His wishes is always the best 😊🙏
    God be with you. Stay safe. Stay happy.

    Liked by 4 people

    1. Waalaikumassalam I’m fine Alhamdulillah. I hope you’re fine.
      Kahan to wordpress pe ghante guzar jaate the aur ab dinon se dekh nahin paae us ki taraf. Bus masroofiyat kuch aisi hai in dinon ke wordpress ki shakal bhool gae.
      How sweet of you to remember me.

      Liked by 2 people

      1. I m fine too Alhamdulillah💞. Bilkul drust kaha apne wordpress ko time dena bhe kabhi kabhar Bohot mushkil hojata hai.Loads of prayers for you❤

        Like

  2. Assalamu alaykum!!
    Hope you’re doing well! And I pray everyone’s good at your side Insha’Allah!!
    Remember me in your khaas dua’as for my exam which is in a month or so!
    Also, it’s raining here, and every time it rains, it reminds me of you and your sweet gesture of sharing beautiful pictures of clouds days before!🌸💖
    May Allah tala bless you immensely! Ameen!

    Liked by 2 people

    1. Waalaikumassalam I’m Alhamdulillah and everyone else too.
      I was just thinking of you yesterday and regarding your exams. I was wondering whether you got over with them or not. Bus masroofiyaat ki wajah se na kuch post kar paae na kuch maaloom kar paae.

      Glad to hear it raining at your place. Yahan barish aa jaa rahi hai. Achaanak barish, achaanak baadal aur achaanak dhoop.

      Thanks for checking on me. It means so much.

      You will be in my duas. Make dua for me and my family too.

      Allah Taala aapko kaamyab kare aur exams mein aasaani ataa kare yaad karne mein aur paper attempt karne mein.

      Exams se wo school ka daur yaad aa jaata hai jab kai baar paper mein yaad kiye hue questions hi aate the lekin jab answer likhna shuru karte hi dimaagh bilkul blank ho jaata tha. I had terrible exam fear and was never able to retrieve the answer until the last minute.

      May Allah make it easy for you.

      Liked by 2 people

      1. Aww I’m glad!
        Ameen Jazaakillah Khayr💐🌸💖
        Bohat sari duaon ki darkhast hai, meri walidah ko khusoosi duaon mei yaad rkhiayga, aur mere exams mei asani k liye.

        You and your family are in my special dua’as🌟💝

        Oh, I have terrible exam fear too, a very horrible one, Every second panic attacks and what not.. :((
        May Allah tala make it easy for us.

        Liked by 1 person

      2. Aameen zaroor In Sha Allah. Don’t panic, you’ll definitely score good marks and I’m sure about that.
        Pareshaan to wo ho jo jis be kuch taiyyari hi na ki ho.
        Do your best and leave the rest on Allah. Allah kabhi mayoos nahin hone dega. 🌈 In Sha Allah. ⭐️🌟

        Liked by 1 person

    1. Everythings fine Alhamdulillah. Har kisi ki zindagi mein utaar chadhaao to aate hi rehte hain aur yehi zindagi hai.
      Blog banaane ka maqsad hi tha sab kuch na kuch share kar karna. I made this blog with the thought in mind to share anything nice that i come across or anything that crosses my kind.

      Like

      1. Thats so considerate of you. Sometimes we feel the same emotion but the way you beautifully depict feels so embracing.
        Main Allah taala se dua karunga ke Utar chadhao aaye but more of positives in your life.
        Take care

        Liked by 1 person

Leave a reply to Binte Bashir Cancel reply