Hamd Baari Taala, Urdu Poetry

Tareef Us Khuda Ki

Assalamualaikum wa Rahmatullahi wa Barakatuhu,

Aaj aap se jo kalaam share karne ja rahe hain wo hain Merath Uttar Pradesh ke Ismail Merathi jin ka zikr kam hi suna hoga aapne lekin ye hamd jis ka har lafz aankhon mein ek khoobsurat manzar khench laata ha inaam hai Allah Rab-Ul- Izzat ka jo bande ko Apni hamd-o-sana karne ka sharf bakhshta wo is khoobsurat andaaz mein kam hi kisi ko aisa kuch mauqa milta hai.

Taareef us Khuda ki jisne jahaan banaaya

Kaisi zameen banaai kya aasmaan banaya

Image credit: Binte Bashir via Canva

Paanv tale bichaaya kya khoob farsh-e-khaaki

Aur sar pe laajvardi ek saaebaan banaaya

Mitti se bel boote kya khushnuma banaae

Pehna ke sabz khil’at unko jawaan banaaya

Khush-rang aur khushbu gul phool hain khilaae

Is khaak ke khandar ko kya gulistan banaya

Image credit: Binte Bashir via Canva

Meve lagaae kya kya khush-zaaeqa raseele

Chakhne se jin ke mujh ko shireen-dahan banaya

Image credit: Binte Bashir via Canva

Sooraj bana ke Tu ne raunaq jahaan ko bakhshi

Rehne ko ye humaare achcha makaan banaya

Pyaasi zameen ke moonh mein menh ka chuvaaya paani

Aur baadalon ko Tu ne menh ka nishaan banaaya

Ye pyaari pyaari chidiyaan phirti hain jo chehakti

Qudrat ne Teri un ko tasbeeh-khwaan banaaya

Image credit: Binte Bashir via Canva

Tinke utha utha kar laaeen kahan kahan se

Kis khoobsurati se phir aashiyaan banaaya

Image credit: Binte Bashir via Canva

Oonchi uden hawa mein bachon ko par na bhoolen

In be-paron ka un ko rozi-rasaan banaaya

Image credit: Binte Bashir via Canva

Kya doodh dene waali gaaen banaain Tu ne

Chadhne ko mere ghoda kya khush-inaan banaaya

Rehmat se Teri kya kya hain nematen mayassar

In nematon ka mujh ko hai qadr-daan banaaya

Aab-e-ravaan ke andar machli banaai Tu ne

Machli ke tairne ko aab-e-ravaan banaaya

Image credit: Binte Bashir via Canva

Har cheez se hai Teri kaarigari tapakti

Ye kaarkhaana Tu ne kab raaegaan banaaya

Jitna bhi kaha jaae Allah Ta’ala ki taareef mein kam hi hai. Bilashuba sach farmaaya Allah Subhanahu Wa Ta’ala (The Most Glorified The Most High) ne apni kitaab mein “ Aur agar zameen mein jitne bhi darakht hain wo sab qalam ban jaaen aur samandar (siyaahi banjaaen) us ke baad is ko mazeed saat samandar siyaahi muhaiyya karen Allah ke kalimaat khatm na honge. Yaqeenan Allah zabardast hai kamaal waala”. Quran 31:27

وَلَوْ أَنَّمَا فِى ٱلْأَرْضِ مِن شَجَرَةٍ أَقْلَـٰمٌۭ وَٱلْبَحْرُ يَمُدُّهُۥ مِنۢ بَعْدِهِۦ سَبْعَةُ أَبْحُرٍۢ مَّا نَفِدَتْ كَلِمَـٰتُ ٱللَّهِ ۗ إِنَّ ٱللَّهَ عَزِيزٌ حَكِيمٌۭ

And if whatever trees upon the earth were pens and the sea [was ink], replenished thereafter by seven [more] seas, the words of Allah would not be exhausted. Indeed, Allah is Exalted in Might and Wise.

Beinteha khoobsurat nazm hai. Ek do din pehle hi padhi thi aur bus fauran aap sab se share karne ka khayaal hai. Images kuch zyaada hogae I guess but I couldn’t help it, those ashaars deserved some images hence I was compelled to add them.

Hope you all had a nice time reading this one.

Until the next time,

Stay Safe Stay Tuned 😊

Read further:

Hamd-e-Rab-e-Zuljalaal

Meanings of lesser known words in this poem.

15 thoughts on “Tareef Us Khuda Ki”

  1. Umda. Bahut khoob Binte Bashir 💖🙏

    Today early morning when I was doing my reading I heard bulbul at my window. God indeed is the most beautiful and He is behind the fragrance of the flowers and the beauty of the hills, sun, moon and the stars.

    My Guru, Paramahansa Yogananda, has composed a beautiful chant – Oh God Beautiful (original words of Baba Guru Nanak) .. describing His beauty in Nature and in all of His creation.

    You take so much pain to compose the pics with words and they look good 😊🌹

    Liked by 3 people

    1. Thanks for sparing time to read and appreciate 😊

      Bulbul is one really pretty bird. It feels amazing and refreshing to hear the birds chirping early in the morning. Indeed a God’s glory and marvel is evident in all His beautiful creation.

      Liked by 1 person

  2. I studied in Chandigarh and still have two sisters there. Have lived all over the country and I live in Pune now! When I was in Delhi from 1981-1993 I used to go to Meerut often!

    Liked by 1 person

Leave a comment