Uncategorized

Kaisi Guzri Eid ?

Assalamualaikum!

Aap sab ko tahe dil se Eid ki Mubarakbaad. Kal India mein aur deegar mumaalik mein Eid thi. Allah Taala humaare roze aur namaz aur tamaam ibaadaat qubool kare.

Kya haal chaal hain sab ke? Eid kaisi guzri?

Yahan to ye haal hai ke guzaare nahin guzar rahi thi. Kuch toote phoote alfaaz aage peeche likhe hain apni feelings ka izhaar karne ki koshish mein.

Actually kuch likna To nahin tha poem waghaira lekin bus kuch lafz zehn mein baar baar aa rahe the. Bus jo zehn aur dil se nikle hain wo likh diye yahan. Sharing with you all my first poem ever on eid.

Jab jab eid aati hai,

Saath bachpan ki yaaden laati hai,

Befikri ke din raat raat the saare,

Khushiyon se purnoor tha aalam,

Chehre muskuraahaton se jhilmilaate the,

Ab ki ye kaisa aalam hai,

Eid guzaare na guzar rahi hai,

Lamha lamha thehra sa lagta hai,

Saare apne hain door aankhon se,

Dil ke lekin qareeb hain saare

Chaahen meelon ke faasle darmiyaan hon raahon mein,

Dil se dil ko raah hoti hai.

Yunhin aaj kuch dil humaara bojhal hai,

Kya maza zindagi ka bina azeezon ke,

Suna hai har khushi baantne se badhti hai,

Baanten kis se khushiyan apni,

Sab ke chehre hai door aankhon se,

Koi aahat si lagti hai darwaaze par,

Shayad koi aaya ho humaare ghar,

Aaya to nahin koi bus khayal humaare the.

Raah takte takte thak gaeen aankhen

Phir milenge kab dil mein sawal uthta,

Aas kehti hai faqat kuch roz aur sahi…

Eid ke asal maze to saare bachpan mein hi the, befikri hi befikri thi, na kaam ki fikr na pakaane ka koi tension. Mehndi laazmi thi. Eid aur baghair mehndi ke tasavvur hi nahin kar sakte the. I loved it sooo soooo much that I would cry without it. Eid mein taiyyar hone ka aur eidi milne ka intezar hota tha. Maasoomiyat aisi thi ke jitne notes zyada hote the samajhte the utni zyada eidi hai paise chaahen thode se hi kyon na hon.

Henna I applied on my niece’s hands few months ago
Image: Pexels

Aur ab to kaam hi kaam, work makes it all so boring! To bus eidi hoti hai aur hum flash back mein chale jaate hain. That’s just the way I feel, sab ka pata nahin.

Just feeling a bit low but Alhamdulillah, Alhamdulillah, Alhamdulillah, this is just a phase in life… Faqat kuch roz aur sahi…

There are others facing several difficulties and are being tested in many ways we are absolutely blessed by Allah in every way. Alhamdulillah!! My duas for all those facing calamities and difficult times.

Sorry about the way I write, thodi English thodi Urdu. I wonder why. Maybe because I like Urdu so much and certain things I prefer saying in Urdu rather than in English. Urdu To Phir Urdu Hai! I know it’s absolutely so wrong but I guess we have our own freedom to express ourselves.

Aapki eid kaisi guzri bataaiyega zaroor…

31 thoughts on “Kaisi Guzri Eid ?”

  1. Eh, there’s nothing wrong in using Urdu and English together. Yakin maaniye, bahot hi achchha lagta hai aapka blog padhna. Bilkul apnapan saa hai yahan.

    The poem is beautiful and straight from the heart. Nostalgic vibes😍🌸

    Mehndi too is very beautiful. ❤️

    I hope you’re feeling better now. Mausam bhi toh waisa hi hai, gloomy saa 😩

    My best wishes for you, dear. Cheer up 🤗❤️

    Liked by 8 people

    1. Thanks a lot dear friend for your kindness and support.
      I’m glad you like to read my writing. Hum to samajhte the log sochenege ye kya likha lekin Urdu language hi aisi hai ke baar baar gaadi patri se utar hi jaati hai.

      Liked by 5 people

  2. بچپن میں چاند رات پر اپنے کپڑے، جوتے، چوڑیاں تکیے کے پاس رکھ کر سونا، عیدی دیر سے دینے والے رشتہ داروں کو منہ بنا کر دیکھنا، بار بار گنتی کرنا، مزید رشتہ داروں کا انتظار کرنا، مہندی کی خوشبو سونگھنا، عید کارڈ پر ڈبے والے اشعار لکھنا 😹😹
    جیسے کہ؛ ڈبے میں ڈبہ ڈبے میں کیک، بنتِ بشیر لاکھوں میں ایک
    اور،
    عید آئی ہے اٹک اٹک کے، کوئی چل رہا ہے مٹک مٹک کے 😹

    Liked by 5 people

    1. That was soooo lovely. Dher saare pyaari aur bachpan ki yaadon se bhaara. Mehndi soonghna to bus bohot hi zyaada acha lagta tha aur Mehndi ka tang aaya ke nahin dekhne ke liye raat mein uth uth kar dekhna.
      Bachpan ki haseen yaaden taaza kar deen. Thanks a lot for the lovely ashaar.☺️It was so so soooo 🥰🥰🥰cute. ❤️❤️❤️
      It’s so kind of you. Thanks for bringing back the lovely childhood memories.

      Liked by 3 people

  3. This is so beautifully expressed!!🥺❤️❤️
    Nostalgic vibes🥺❤️

    Mehndii is sooo prettyyy!🥰

    It feels so good to hear urdu from people around!💖😍
    Hope you’re doing well, stay blessed!😍

    Liked by 2 people

  4. Masha Allah…..kya baat hai ! Bohot hi khoobsoorti se likha tum ne. It is full of feelings. Daddy will be so happy and proud of you just like we are. In Shaa Allah hum jab Daddy se milenge tou tumhare saaray posts unn ko zuroor dikhayenge aur paddh kar bhi sunayenge.

    Koi farq nahi paddta ke tum ne agar sirf urdu mein ya English mein hi likha. Asal maqsad tha tumhare khayalon ka itni khoobsoorti se izhaar karna jis mein tum kamyaab hui. Abhi iss ka zauq rakhnay walay aur qadar karnay walay log hain duniya mein, Alhumdulillah. You just keep writing and keep expressing your thoughts. Abhi tou Yeh sirf shuruaat hai ek dilchasp safar ki.
    Remember Daddy used to say this ” Raahi manzil bhool na jaana, door abhi hai tujh ko jaana ” .

    My duas, love and heartiest wishes to you. Allah tumhe hamesha sehatyaab aur khush rakhay. AAMEEN.

    Liked by 1 person

Leave a reply to AR MOHSIN SHEIKH Cancel reply